Monday, 20 June 2011

Teri Yaadain .......

Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai

Jinda Maar Gaye ...

Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata
Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
Isiliye mujhe zinda hi maar gaye….

Tanhaiyan.....


Saturday, 18 June 2011

Bewafai Mat Karna ...............

Kabhi Kisi se Judai mat karna,
iss Dost se rushvayi mat karna.
Jab DIl Bhar jaye toh Hame Bata dena,
Naa Batakar Bewafai Mat Karna…

Jeena aa gaya....

jeete theh kabhi kisi ke mohabaat ke bina
tumne jo mohabaat sikhlai to muskurana aa gaya,
nahi milne ki koi umeed es dil ko
ki ab dil ko tere bina bhi Jeena aa gaya

Friday, 17 June 2011

barsat.......

pyar karne wale aankho ki bat samajh lete hain
khawabo me mil jaye to mulakat samajh lete hain
rota to aasma bhi hai pyar ke liye
par afsos log use barsat samajh lete hain

kabar............

Mitti meri kabar say chura raha hai koi,
Markar bhi bahut yaad aa raha hai koi,
Eh khuda ek pal ki zindagi aur de de mujay,
Udaas mery kabar say jaa raha hai koi.